Friday, 17 June 2011

BEWAFAI SHAYARI

Duwa karna yaro juda ho
rahe hai,
Rahi zindagi to fir aaker
milenge..
Ager mergaye to duwa
karte rehna,
Aansun bahane ki koshish
na karna..
A duniya badi bewafa hai
samajhna,
Kahin dil lagane ki koshish
na karna.
Mere doston zindagi ek
safer hai samajhna,
Kahin thaher jane ki
koshish na karna.
Danishon ki duniya hai
sari,
Alfazon ka mydan hai
sara.
Zer aur zaber ko
pehechan na pao,
To mydan me aane ki
koshish na karna.
Kashti ummidon ki ger
sahil na paye,
To khud dub jane ki
koshish na karna.
Kadam pe andhera karegi
ye duniya,
Kahin dil jalane ki koshish
na karma.
Kabhi ro ke muskuraye ,
kabhi muskura ke roye,
Jab bhi teri yaad aayi tujhe
bhula ke roye,
ek tera hi to naam tha jise
hazar bar likha,
Jitna likh ke khush hue us
se jayada mita ke roye.
Akela sa mehsus karo jab
tanhai me,
Yaad meri aye jab judai
me,
Mehsus karna tumhare
karib hu me,
Jab chahe dekh lena apni
hi parchai me.
Kadam yuhi dagmaga
gaye raaste me,
Warna sambhlna hum bhi
jaanthe the,
Thokar bhi lagi tho us
pathar se,
Jise hum apna mante the.
Kaash woh samajthe is dil
ki tadap ko,
Tho yun humein ruswa
na kiya hotha.
Unki ye berukhi zulm bhi
manzoor thi humein,
Bas ek baar humein
samaj-liya hotha?
Wo roye to bahut, par
mujhse muh mod kar
roye
Koi majburi hogi to dil tod
kar roye
Mere samne kar diye
mere tasveer ke tukde
Pata chala mere piche wo
unhe jod kar roye
Mere khwabon mein aana
aapka kasur tha
Aapse dil lagana hamara
kasur tha
Aap aaye the zindagi mein
pal do pal ke liye
Aapko zindagi samajh
lena hamara kasur tha

No comments: