Saturday, 18 June 2011

BEWAFAI SHAYARI







Meri maut ki khabar tujhe mil jayegi
Agar mere marne se tujhe khushi mile to woh khushi tujhe mil jayegi
Ek bar toa tu bhi ansoo bhahayegi mujhe yaad karke
Tab meri mohabbat teri wafa ka karz chukayegi


Wo roye toa hum chupa chupa ke roye,
Wo gaye to dil todkar gaye,
Tukde tukde kar diye unhone hamari tabir ke hamare samne,
Baad me pata chala ki wo tukde jod jod ke roye………..

Na jane unn par itna yakin kyu hota hai,
Na jane unka khayal bhi itna haseen hota hai,
Suna hai ki pyar ka dard mitha hota hai,
Toa iss ankh se nikla pani namkin kyu hota hai…


Mat karo tum woh wada jishe nibha na sako,
Mat chaho use jishe tum paa na sako
Pyar har kisi ka kaha pura hota hai ,
Pyar ka pehla akshar hi adhura hota hai.


Ho sakta hai usne anjane mai hame rula dia
Usne dunia ke kehne pe hame bhula dia.
Hum to waise bhi akele thy,
Kya hua agar kisi ne ehsaas bhula dia.


Tum mujhe chhod kar chale gaye,
Is baat ka mujhe gam nahi hai,
Gam hai toh sirf is baat ka ki tum,
Humse apna dil bhi chheen kar chale gaye.


Kaise likhu panno par apna dard
Darta hu kahi ye bhi na bol pade
Jo chupaya raaz sabse humne
Kahi wahi raaz chehra na bol pade


Dil ki gehraaiyon me hum jaane se bachte rahey
doob jate sahil pe isliye kinare se bachte rahey
khuda se gila kya karna sabka naseeb hi aisa hai
tujhe laga hum tere kareeb aane se bachte rahey…


Iss Qadr Naa Har Baat, Yaaron Se Puucho,
Jo Baat Raaz Ki Ho, iSharoon Se Puucho ..
Lehroon Se Khelna To, Samandar Ka Shauk Hai,
Lagti Hai Chot Kaise, Ye Kinaroon Se Puucho…


 Mujh ko rula kar dil unka bhi roya hoga,
Chehra aasuon se usne bhi bhigoya hoga,
Kya hasil kiya humne pyar mai,
Magar kuch to zarur usne bhi khoya hoga_ _ _”


Kaise likhu panno par apna dard
Darta hu kahi ye bhi na bol pade
Jo chupaya raaz sabse humne
Kahi wahi raaz chehara na bol pade

 Tumne sada sath nibhane ka vada tod dia,
Beach rah mein mera sath bhi chor dia,
Kehte the sath nibhayenge marte dum tak A-Sanam,
Lekin adhe raste mein hi hume marne k liye chor dia…


Zuban hi sirf ek jariya nahi,
Jo aap lafzon ko samajh payenge.
Kabhi aankon me jhank kar dekhna,
Hazaron alfaz khud-ba-khud bikhar jayenge…


Khud se pyar kabhi kiya nahi,
Aapke siva kisi ko ye haq diya nahi.
Mushkil me apne akela kar liya,
Roshni ka khwab dikhakar andhera kar liya…


Jab Pyar ke Ehshas ko Samaz Jaoge,
Har sanso me mera hi Naam Paoge,
Mera pyar us waqt Dega Awaz
Jab tum dunia ki Bhid me khud ko Akela Paoge…

Jiski aarzu thi usika hi pyar na mila.
Barso jiska intazar kiya usika hi sath na mila.
Ajib khel hai ye mohabbt ka
kisiko hum na mile aur koi hume na mila..


Maine jeena ka matlab mohabbat mai paa liya.
Jis ko bhi ghum tha uss ko apna liya.
Aap rokar bhi ghum ko halka na kar sake.
Maine hasi ki aadh me har ghum ko chupaliya..

Na jane kyun apne saye se bhi dar raha hoon main,
Apni hi galiyon se chhupkar guzar raha hoon main,
Maangi thi kabhi duaaon mein ik anokhi maut maine,
Isiliye shayad jeete-jea mar raha hoon main


FAREB THA UNKI HANSI ME AASHIQI SAMAJ BETHE,
MAUT KO HUM APNI JINDAGI SAMAJH BAITHE,
YE WAQT KA MAZAAK THA YA HUMARI BADNASIBI,
UNKI DO BAATO KO HUM MOHABBAT SAMAJH BETHE…


Har Mehfil Har Dil Bhi Royega,
Jahan Dubegi Meri Kashti Wo Sahil Bhi Royega,
Itna Pyar Bhikher Denge Jamane Mein Hum,
Ki Qatal Karke Mera Qatil Bhi Royega….


Hum haste hai toh wo samajhte hain ke,
Hame aadat hai muskurane ki,
Lekin woh nadan kya jaane ke,
yeh bhi aada hai gum chupane ki….


Kisi ki yaad ne itna tadpa diya mujhko,,
Jeena mushkil tha marna bhi bhula diya mujhko,,
Zindagi gum k sagar me utar aai hai,
Iss tarha kashti ko meri toofa me baha diya usne


Narajgi ka matlab inkar nahi hota
Muskurahat ka matlab ijhar nahi hota
jiwan me u hi mil jati h nazre
hr nazar ka matlab PYAR nhi hota


No comments: