kuchh beete hue lamho se
mulakat hui
kuchh tute hue sapno se
baat hui
yaad jo karne baithe un
tamam yaado ko
to aapki hi yaado se
shuruat hui
Jo hukum karta hai woh
iltejaa bhi karta hai…
Yeh Aasman bhi jaake
kahin pe jhukta hai’
Tu agar bewafa hai to yeh
buri khabar bhi sun le..
Mera intezaar koi aur bhi
kartaa hai…
Pyar kisi se jo karoge
ruswai hi milegi…
Wafa kar lo chahe jitni
Bewafai hi milegi…
Jitna marzi kisi ko apna
bana lo,
Jab ankh khulegi… Tanhai
hi milegi !
Dariya wafaoo ka kabi
rukta nahi,
Mohabat me insaan kabhi
jukta nahi,
Hum chup hai kisi ki
khushi ke liye,
aur wo sochte hai dil
hamara dukhta nahi.
Apno ne Zehar ka jaam de
diya,
Gairon ne Bewafa naam
de diya.
Wo jo kehte they bhul na
jana hume,
Aaj unhone hi bhari
MEHFIL
me ANJAAN keh diya
hain….
Bahut tamanna thi, pyar
mein aashiyana banane ki,
Bana chuke to lag gayi
Nazar zammane ki.
Usi ka karz hai, jo aaj hai
aankhon mein aansoo,
Saza mili hai humein
muskurane ki !
Hum ne jab kiya dard-e-
dil ko baya, to sher ban
gaya,
Logo ne suna wah wah
kiya, dard aur badh gaya.
Mohobbat ki paak rooh
mere shero me hai,
Ek likha gam kam karne ke
liye to gam aur badh
gaya.
“Zindagi Sirf Mohabbat
Nahin Kuch Aur Bhi Hai
Zulf-o-Rukhsaar ki Jannat
Nahi Kuch Aur Bhi Hai
Bhookh Aur Pyaas ki
Maari Hui Is Duniya Mein
Ishq Ek Haqeeqat Nahin
Kuch Aur Bhi”
UNHE KISSA-E-GAM
SUNATE SUNATE
KATI RAATEIN AANSU
BAHATE BAHATE
KAHI BUJH NA JAYE
CHIRAAG-E-TAMANNA
CHIRAAG-E-MOHABBAT
JALAATE JALAATE
KISSI KO KHABAR HI
NAHI LUT GAYAA HU
MOHABBAT KI DUNIYA
BASATE BASAATE
KEHDE KOI UNSE…..
WO KHUD BAAZ AAYE
APNE SITAM SE
HUM THAK GAYE HAIN
MANATE MANATE.
No comments:
Post a Comment