Hum zindagi se aas kare
bhi to kya kare,
Jab tum nahi ho paas,
kare bhi to kya kare.
Aansu piye, sharaab piye,
zeher bhi to pi liya,
Bujhti nahi hai pyaas, kare
bhi to kya kare.
Muskurate palko pe
sanam chale aate hein,
Aap kya jaano kahan se
hamare ghum aate hein,
Aaj bhi us mod par khade
hein,
Jaha kisi ne kaha tha ke
theron hum abhi aate
hein.
Thukra ke usne mujhko,
Kaha ki muskuraao!
Maine has diya,
Aakhir sawal uski khushi
ka tha.
Maine khoya woh jo mera
tha hi nahi,
Usne khoya wo jo sirf usi
ka tha
Is jahan me mohabbat
kash na hoti,
To safar-e-zindagi me
mithas na hoti!
Agar milti BEWAFA ko
sazae maut,
To diwano ki kabre yu
udas na hoti!!
No comments:
Post a Comment