Saturday, 18 June 2011

BEWAFAI SHAYARI

Sab se chupa kar dard jo
woh muskura diya
us ki hansi ne to aaj
mujhe rula diya
lehje se uth rahatha har ik
dard ka dhuaan
chehra bata raha tha k
kuch ganwa diya
aawaz mein thayrao tha
aankhoon mein nami thi
or keh raha tha k mein ne
sab kuch bhula diya
jane kya us ko logon sey
thein shikayatein
tanhaiyon ke daish mein
khud ko basa diya
khud bhi woh hum sey
bichar kar adhura sa ho
gaya
mujh ko bhi itne logon
mein tanha bana diya…

No comments: